Tuesday, 14 January 2014

Jab Log Hi Jazbon Ki Toqeer Nahin Kartay

Hum Koi Bhi Dukh Apna Tehreer Nahin Kartay

Lehjay Ka Ye Rookha-Pan Dil Tor K Rakhta Hay
Karti Hay Zuban Wo Kuch, Jo Teer Nahin Kartay

Likhtay Hen Wohi Kuch Jo Is Dil Pay Guzarti Hay
Pariyon Ki Kahani Hum Tehreer Nahin Kartay

Pachtawa Agar Ho To, Be-Fikr Chalay Aana
Hum Raat Ko Darwaza Zanjeer Nahin Kartay

Do Gaz Hi Zameen Sab Ka Jab Aakhri Makan Hay
Hum Koi Makan Apna Ta'ameer Nahin Kartay...!!

No comments:

Post a Comment