Thursday, 12 December 2013

Kal Chodhween Ki Raat Thi, By Ibn-e-Inshaa

Kal Chodhween Ki Raat Thi, Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kuch Nay Kaha Yeh Chaand Hai, Kuch Nay Kaha Chehra Tera

Hum Bhi Wahen Mojood Thay, Hum Say Bhi Sab Poocha Kiye
Hum Hans Diye, Hum Chup Rahay, Manzoor Tha Pardaa Tera

Is Shehr Mai Kis Say Milen? Hum Say To Chootein Mehfilein
Har Shakhs Tera Naam Lay, Har Shakhs Deewaana Tera

Koochay Ko Teray Chor Kar, Jogi Hi Ban Jayen Magar
Jungal Teray, Parbat Teray, Basti Teri, Sehraa Tera

Hum Aur Rasm-e-Bandagi, Aashuftagi, Uftaadgi?
Ahsaan Hai Kiya Kiya Tera, Ae Husn-e-Be’Parwah Tera

Do Ashk Janay Kis Liye, Palkon Pay Aa K Tik Gaye
Altaf Ki Barish Teri, Ikraam Ka Dariya Tera

Ae Be’Daraigh-o-Be’Amaan, Hum Nay Kabhi Ki Hai Faghan?
Hum Ko Teri Wehshat Sahi, Hum Ko Sahi Saudaa Tera

Hum Par Yeh Sakhti Ki Nazar? Hum Hain Faqeer-e-Raah-Guzr
Rasta Kabhi Rokaa Tera? Daman Kabhi Thaama Tera?

Haan Haan Teri Surat Haseen, Lekin Tu Aesa Bhi Nahin
Is Shakhs Ke Ash’aar Say, Shohraa Hua Kiya Kiya Tera

Be’Dard Sunni Ho To Chal, Kehta Hai Kiya Achi Ghazal
Ashiq Tera, Ruswa Tera, Shair Tera, INSHA Tera...!

"IBN-e-Insha"


No comments:

Post a Comment