Tuesday, 17 December 2013

Deen Se Door Na Mazhab Se Alag Betha Hoon

Deen Se Door Na Mazhab Se Alag Betha Hoon,
Teri Dehleez Pe Hoon Sab Se Alag Betha Hoon.
Dhang Ki Baat Kahe Koi To Bolon Main Bhi,
Matlabi Hoon Kisi Matlab Se Alag Betha Hoon.
Bazm-e-Ahbaab Mein Hasil Na Huwa Chain Mujhe,
Mutmain Dil Hai Bahut Jab Se Alag Betha Hoon.
Umar Karta Hoon Basr Gosha-e-Tanhai Main,
Jab Se Wo Rooth Gaya Tab Se Alag Betha Hoon.
Mera Andaz "Faraz" Ahl-e-Jahaan Se Hai Juda,
Sab Mein Shaamil Hoon Magar Sab Se Alag Betha Hoon .. ..

No comments:

Post a Comment